Twitter Bird Gadget
RSS

Kash is dil ki lehar ka koi kinara hota,
dard bhut hai is dil mai kash koi hamara hota,
dil to tut gaya us se pyaar karne mai,
kash dil todne wala hamara hota…



Hamse pucho kya hota hai pal pal bitana bhut muskil hota hai dil ko samjhana,
ye zindagi to beet hi jaygi,
bas muskil hota hai kuch palo ko bhulana….



udaas hai koi shaks tere jaane se,
ho sake to laot aa kisi bhane se,
tu laakh kaffa sahi par ek baar to dekh,
koi toot sa gaya hai tere ruth jane se…



Mere dil mai pyaar ki pyaas rehne do,
in nighao mai teri aas rehne do,
tumne sab kuch to chin liya door jake,
ek yaad hi sahi usse hamare pass rahne do….




mat dekh koi shaks gunhagaar kitna hai,
ye dekh ki tere sang wafadar kitna hai,
ye mat soch ke kuch logo ko us se nafrat hai,
ye dekh usko tujhse pyaar kitna hai…



Ek raat vo mile khawo mai,
hamne pucha kyu dhukraya aapne,
jab dekha to unki aankh mai bhi aanshu the
to kaise puchte kyu rulaya aapne….



Teri judai mai dil bekrar na karu,
tu hukum de to tera intzaar na karu,
bewafai karni hai to is tarh kar,
ki tere baad mai kisi or se pyaar na karu….




Kisi dard ko sambhal pana aasan nahi,
haste hue har pal bitana aasan nahi,
zindagi mai har koi dil mai nahi basta,
or us ek base hue ko bhula pana aasan nahi…



Utha na sako tum gire phool to,
is tarha tum daliya hilaya na karo,
jinki honto par tum hasi rakh na sako,
unki aankho mai aansu laya na karo.




Apki mehfil ka mausam suhana lage,
ek pal chura lu agar bura na lage,
aap hamari yaado ko bhool jayoge,
par aapki yaad hame bhoolane mai sayad jamane lage….




Badal garza par barsat na aai,
dil dhadka magar awaaz na aai,
bin hichki ke guzar gaya aaj ka din,
kya ek pal ke liye bhi kisi ko hamari yaad na aai….




Sahil par moti mila nahi karte,
dosti mai kabhi gila nahi karte,
ham ache nahi bure hi sahi,
par ham jaise bure log bhi mila nahi karte…




Kitni mohbbat hai unse hamse bataya nahi gaya,
sayad vo samjh nahi sake ya hami se samjhya nahi gaya,
unhone karib aane ki koshish nahi kari or hamse karib jaya na gaya…




Teri palko par khaw reh jaye koi,
tumhari sanso par naam likh jaye koi,
chalo vaada raha bhool jana hame,
agar hamse acha dost mil jaye koi…




Roz hame bhi koi yaad karta tha beth kar koi pyaar karta tha,
bhikar gai hamari saari dunia us din jab usne kaha
ye dost mai to har roj majak kiya karta tha…..




Waqt badlata hai zindagi ke sath,
Zindagi nahi badlati waqt ke sath,
waqt nahi badlata apno ke sath,
bas apne badal jate hai waqt ke sath….




Pyar ke ujale mai gum aata kyu hai,
jinko ham chahe vhi hame rulata kyu hai,
agar vo mera nasib nahi
to khuda aise logo se milwata kyu hai….




Rulana har kisi ko aata hai hasana kisi kisi ko aata hai,
rulake jo mana le vo sacha yaar hai
or jo rula ke khud bhi aanshu baha le vo aapka Pyaar hai….




Na rahi aaj vo apni kahani
na vo hasin din na raate suhani,
fir bhi hame aziz hai unki har nisani,
chahe dil ka dard ho ya aankho ka paani….



Ehsan kiya usne mujhe pyaar sikha kar,
hoti hai kya chaht ye mujhe samjhkar,
qurbani hai pyaar ka asli matlab,
chod diya sath mera bas itna bata kar…




kehte hai zindagi ek kahani hoti hai,
ham to ek badnaam kissa ban kar reh gaye hai,
khud ki zindagi ki kahani to likhi nahi,
auro ki kahanio ka ek chota sa hissa ban kar reh gaye hai…




hasa kar rulane wale ham nahi,
dil mai basa kar bhulane wale ham nahi,
chahe aap hame jo bhi samjhe par dosti karke
matlab par yaad karne wale ham nahi…




is dil ko to bas aapki yaad aati hai,
wo udaas kar jaati hai,
koi puchta hai hamse pyaar kitna hai,
kuch nahi keh pate bas aankhe bhar jati hai…




ashq bahe to ahsaas hota hai,
dosti ke bin jiwan kitna udaas hota hai,
umar ho aapki sitaro jitni lambi,
Esa pyaara dost kaha har kisi ke pass hota hai…




Har chiz chane se milti nahi,
pyaar ki kali har ek ke liye khilti nahi,
acha pyaar kismat se milta hai,
par achi kismat har kisi ko milti nahi….




Zindagi guzar jaygi ahista ahista,
fir ye waqt niklega ahista ahista,
aap mujhe yaad rakhoge kuch din,
fir ye yaade bhi mit jayengi ahista ahista…




Koi naraz hai hamse ke ham kuch likhte nahi,
kaha se laaye lafz jab vo milte hi nahi,
dard ki zuba hoti to bata dete,
vo zhakam kaise batye jo dikhte hi nahi….

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS