Twitter Bird Gadget
RSS

Ham to hamesha aapke diwane rahenge

Kar jaate hai shararat kyunki thode shaitan hai ham,
Kar dete hai galti kyunki insaan hai ham,
Na lagana hamari baato ko kabhi dil se,
Aapko to pata haina kitne naadan hai ham….



Nazar mai aapki nazaare rahenge,
Palko par chand sitaare rahenge,
Badal jaaye to badle ye zamana,
Ham to hamesha aapke diwane rahenge….



Aapke khayalo se daman ko chupa ke dekha hai,
Dil or nazara ko bhut aazma ke dekha hai,
Aapki kasam aap hai to sab kuch hai,
Maine kuch pal aapko bhula ke dekha hai….



Wo ek chehra ham har kahi talaash karte hai,
Zinda to hai magar zindagi talaash karte hai,
Koi kyu bhool jata hai hame apna bana kar,
Ham khood mai vo kami talaash karte hai….



Utar aai raat andhera ho gaya,
Ek or din aapse mile bina poora ho gaya,
Har pal aai aapki yaad aisi lagi,
Jaise chandni chand ke bina adhura ho gaya hai…..



Mai apni wafao ki yu mishal deta hu,
Koi bhi sawaal kare to taal deta hu,
Mujhe aksar unhi logo se mili hai fareb,
Zinke paaw ka kata mai aksar nikal deta hu….



Dhaga aapne riste ka tutne nahi denge,
Sath hai pyaar ke jo chutne nahi denge,
Hume nahi aata manana kisko,
Par dil se kehte hai aapko kabhi ruthne nahi denge….



Samne na ho to tarsti hai aankhe,
Bin aapke bhut barsti hai aankhe,
Mere liye nahi inke liye sms kardo,
Kyunki aapke sms bade pyaar se padhti hai ye aankhe….



Dil jab bilkul toot jata hai to aapko yaad karte hai,
Apna samjh kar dil ki har baat karte hai,
Nadaan samjh kar maaf kar dena,
Jab anjaane mai kabhi aapko pareshan karte hai….



Yaado ki dhund mai aapki parchai si lagti hai,
Kaano mai gunzati sehnani si lagti hai,
Aap karib ho to apnapan hai,
varna seene mai sans bhi parai se lagti hai….



Is dil se usko bhoola nahi sakte,
Aisa kyu hai ye bata nahi sakte,
Muskil to ye hai ki vo yakeen nahi karte,
Aur afsos ham dil cheer kar dikha nahi sakte……



Dekha hai hamne ye aajma kar,
Dhoka de jaate hai log aksar kareeb aakar,
Kehti hai duniya par ye dil nahi manta,
Kya tum bhi chod doge mujhe apna bana kar….



Surat uski khyalo se kyu nahi jaati,
Neend hai aankho mai magar kyu nahi aati,
Wo sath the to maot ka khouf tha mujhko,
Ab mai tanha hu to mout kyu nahi aati…..



Zhakam gehre nahi is dil ke,
Dard mai is kadar mithas na thi,
Ye unki hi meharwani hai varna,
Zindagi is kadar udaas na thi….



Mujhe zindagi door rakhti hai tujhse,
Jo tu pass aaye to ise door kardu,
Tere dil ko milne ki khud aarzu hogi,
Kabhi samna ho to majboor kar du….



Kab nikalta hai koi dil mai bas jaane ke baad,
Dard kitna hota hai bichad jaane ke baad,
Jo sath hota hai uski qadar nahi hoti,
Kami mehsus hoti hai bichad jaane ke baad….



kisi ne kaha hai ki jise had se jyada pyaar karo wo pyaar ki kadar nahi karta,
Pyaar ki kadar unse jaano jinse koi pyaar nhi karta….

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

0 comments:

Post a Comment