Twitter Bird Gadget
RSS

Pyaar karne se kuch milta nahi

Pyaar karne se kuch milta nahi,
Khaaw dekhne se phool khilta nahi,
aazma lo chahe kitni baat kisi ko,
Magar nasseb mai na ho to wo kabhi milta nahi…..



Koi waada na kar koi irada na kar,
Khwahishen taqdeer se jyada na kar,
Ye degi utna jitna likh diya khuda ne,
Is taqdeer se ummed jyada na kar….



Har raat ke chand par noor hai aapse,
Har subha ki kiran mai guroor hai aapse,
Ham kehna to nahi chahte,
Lekin mar jaynge reh kar door aapse….



Teri pyaari si ummed kaise tod ke jaau,
Tu khaab dekhe or mai nazar na aau,
Kuch to baat hai dosti mai apni,
Kya tere kadam nahi kehte…."Ek Baar Mil Aaau"…



Betab se rehte hai teri yaad mai aksar,
Raat bhar nahi sote teri yaad mai aksar,
Jism mai dard ka bahana sa banakar,
Ham toot ke rote hai teri yaad mai aksar….



Zindagi mai kabhi yaad karoge,
Mehfil mai nahi to tanhai mai yaad karoge,
Ham jaisa kabhi na mila hai na milega,
Parakh kar dekho lo apni kismat par naaz karoge….



Hame asko se zakhmo ko dhona nahi aata,
Milti hai khushi to use khona nahi aata,
Sheh lete hai har gum muskura kar,
Or log kehte hai hame rona nahi aata…



Hamesha rab se wo mango jo aapki kismat mai hai,
Wo nahi jo aap chahte ho,
Kyunki ho sakta hai aapki khwahish kam ho,
Magar aapki kismat mai jyada likha ho….



Ek soch: Agar rasta khubsurat hai to pata karo kis manzil tak jata hai,
Lekin agar manzil khubsurat hai,
To raste ke parwah mat kijiye chalte rahiye…


Dua dene wale ka farman baaki hai,
Unki wafa ka imtihan baaki hai,
Meri moat par bhi unki aankh mai aanshu nahi,
Unhe saq hai ki mujhme abhi jaan baaki hai….



Pyaar pana khuda ki bakshish hota hai,
Kisika hona bhi naziz hota hai,
Sab ke hisse mai ye tofha to hota hi hai,
Par waqt par pana kisika hi Naseeb hota hai…



Chalti hawa se aapka haal puch lete hai,
Aapki yaad se aapka khyaal puch lete hai,
Milenge kab ye maloom nahi,
Par khuda se aksar ye sawaalo puch lete hai…



Rakhte hai yaad aapki har ek baat ko,
Tarasta hai dil har choti si mulaqat ko,
Pass rehkar bhi itni door mat ho jana,
Ki tarash jaaye ham aapki awaaj ko….



Kash aap jisko chahte ho unse mulaqat ho jaaye,
Aur aankho se baat ho jaaye,
Aapka hath unke hath mai ho,
Aur rimjhim si barsat ho jaaye,….



Kyu mere liye koi intzaar karega,
Apni zindagi mere liye bekrar karega,
Mai kya hu meri hasti hi kya hai,
Kya dekhkar hamse koi pyaar karega…..



Itna bhi na rutho yaar ki mera bhi dil toot jaye,
Ham itne bedard nahi ki aapko dard deke chup reh jaaye….



Aapko bhula dena mera andaaz nahi,
Aapko nazar andaaz karna mera zazbaat nahi,
Dosti hamse karke dekho yaar,
Phir koi rula de ye kisi ki aukaat nahi….



Na banana ashiyana sapno ka,
Kanch ka hoga toot jayga,
Dil ka dard to hoga,
Zhakham ka nisaan bhi chut jayga….



Meri saanso se tum sikwa karte ho,
Chup chup ke chaht ka sauda karte ho,
Tum hi socho ye kaisi majboori hai,
Mujhme reh kar hi mujhse parda karte ho….

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS