Twitter Bird Gadget
RSS

Dekho ye kalyug ka daur aaj us Malik par faisle sunaaye ja rahe hai…

Bhaadi pathro se mandir banaye ja rahe hai,
Chuna mitti milakar masjid chunvaye ja rahe hai,
kehte hai sabhi ke faisle wo maalik karta hai,
Dekho ye kalyug ka daur aaj us Malik par faisle sunaaye ja rahe hai…


Tanha chod kar hamko hosla bhi dete ho,
Sans chin kar jeene ki dua bhi dete ho,
Ek taraf judai ka gum bhi jaari hai,
Aur muskurane ka mashwraa bhi dete ho….



Sab kuch hai mere pass par dil ki dawa nahi,
Door ho mujhse par mai khafa nahi,
Malum hai ab bhi tum chahti ho mujhe,
Thodi ziddi ho par bewafa nahi…..



Rah na paoge kabhi bhulakar dekho,
Yakin na ho to aazmakar dekho,
Har jagha kami hogi mehsus hamari,
Apni mehfil ko kitna bhi saza kar dekho….



Har insaan ko gulaab ke us phool ki tarha hona chahiye,
Jo un hatho mai bhi khusbu deta hai,
Jo use masal kar fank deta hai,



Kuch fasle sirf aankho se hote hai,
Dil ke fasle do bato se hote hai,
Koi laakh bhulane ki koshish kare par,
kuch riste khatam sirf saanso se hote hai…..



Tum khamosh ham pareshan kyu hai,
Tum ziddi ham nadan kyu hai,
Aapki dosti hamari dhadkan hai,
Par aap ye jaankar bhi anjaan kyu hai….



Bhulna aapko aasan nahi hai,
Aur fir ham vaise insaan nahi hai,
Hamari yaado ka saboot hai aapki dhadkane,
Par sayad us taraf aapka dhyaan nahi hai….



Zikar unka hi raha mere fasaane mai,
Jinko jaan se jyada chaha hamne zamane mai,
Tanhai mai unki hi yaad ka sahara mila,
Nakamyab rahe jinhe ham bhoolane mai….



Narajgi ka sila to puch liya karo,
Duriya lakh ho yaad to kar liya karo,
Mat rakho besak har pal ki khabar,
Zinda hai ya mar gaye ye to jaan liya karo….



Kuch pal ke lamhe ab ke saal mai hai,
Hum unke or vo mere khayaal mai hai,
Tanha the pahle ham beparwah tha zindagi,
Ab fikar lagi rehti hai vo kis haal mai hai….



Mat puch mere sabar ki had kaha tak hai,
Tu sitam kar tera bas jaha tak hai,
Tujse reham ki umeed to gairo ko hogi,
Mujhe to dekhna hai tu berehama kaha taka hai…..



Bhid mai thi wo na ro saki hogi,
Magar yakin maNO raat mai na so saki hogi,
Wo saqs jise samjhne mai umar lagi,
Bichad ke mujhse kisi ki na ho saki hogi….



Chahe wafa mai thokar khate raho,
Fir bhi rasme waade nibhate raho,
Yahi to isqe ka dastoor hai,
Ki jakham khate raho or muskurate raho….



Bina jaane kabhi ikrar na kijiye,
Muskura kar dil ko bekrar na kijiye,
Kabhi kabhi gulaab bhi de jaate hai jakham gehre,
Har gulaab par aitbar na kijiye….



Itna bhi pyaar mat karo kisi se,
ki zindagi se darr lagne lage,
Maut to sabko aani hai ek na ek din,
Magar itna bhi na tadpo ki maut se mohbbat hone lage….



Apni zindagi ka alag usool hai.
Dosti ki khatir to kaante bhi kabool hai,
Has ke chal du kaanch ke tukdo par,
Agar dost kahe ye mere bichaye hue phool hai….

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

4 comments:

cuteshushree said...

waw nice very beutiful sms

dipika padukon said...

Maa ki mumta kaun bhulaye, Kaun bhula sakhta woh pyaar, Kis tarah bataun kaise ji rahae hum, Tu toh baitee pardesh mein, Gale tujhe kaise lagaun, Lekin bhej raha hae pyaar ish quote mein, Tera betta meri pyari maa
Maa se rishta aisa banaya jaae,
Jisko nigaaho me bithaya jae,
Rahe uska mera rishta kuch aisa k
Wo agar udaas ho to humse bhi muskuraya na jaae

Special mothers day poem in hindi

Unknown said...

You have provided an nice article, Thank you very much for this one. And i hope this will be useful for many people.. and i am waiting for your next post keep on updating these kinds of knowledgeable things...
Digital Marketing SMS
Digital Marketing Text
Digital Mobile Marketing
Text Whitelabel Solutions
sms Whitelabel Solutions

hannah cyrus said...

I am expecting more interesting topics from you. And this was nice content and definitely it will be useful for many people.
snapho

Post a Comment