Twitter Bird Gadget
RSS

chahat ke kinare tut jate hai,
bhut rota hai aasman jab sitare tut jate hai,
zindagi mai aksar aisa hota hai,
jinhe ham yaad karte hai na jane vo hame kyu bhool jate hai.




guzre dino ki bhuli hui baat ki tarah,
aankho mai jagta hai koi raat ki tarah,
tumse ummed thi ki nibhaoge dosti,
par tum bhi badal gaye meri halat ki tarah.




koi dost naya or purana nahi hota,
zindagi ka har pal suhana nahi hota,
juda hona to kismat ki baat hai,
par judai ka matlab bhulana nahi hota.




har insan ko sab kuch nahi milta,
nadi ki har lahar ko sahil nahi milta,
ye dil walo ki dunia hai dost,
kisi se dil nahi milta to koi dil se nahi milta.




dil tootne par bhi hasna sayad zindadili isi ko kehte hai,
thokar khakar manzil ke liye bhatkna sayad talash isi ko kehte hai,
kisi ko chah kar bhi na batana sayad chaht isi ko kehte hai,
kisi ki khusi ke liye dard sahna sayad himmat isi ko kehte hai,
ye zindadili ,talaash, chaht , himmat, mere khayal se zindagi isi ko kehte hai




bhoolna tumhe na asaan hoga,
jo bhoole tumhe vo nadaan hoga,
aap to baste ho ruh mai hamare,
aap hame na bhoolna ye aapka ahsaan hoga.




band aankho mai bas sapne hote hai,
dunia mai bhut kam log apne hote hai,
apne hi jab bhool jate hai to lagta hai sapne to bas sapne hote hai.




gile sikwa na dil se laga lena,
kabhi maan jana to kabhi manna lena,
kal ka kya pata ham ho na ho,
jab bhi mauka mile thoda has lena thoda hassa lena.




kagaz ki kasti thi pani ka kinara tha,
khelne ki masti thi dil ye awara tha,
kaha aa gaye is jawani ki daldal mai,
vo bachpan kitna pyara tha.




aarzu e dil ne hame diwana kar diya,
roye na the ham kabhi aap ne rula diya,
hamne to har vaqt yaad kiya aapko,
par aapne hi yad karte karte zamana laga diya.



  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS